Sleeping Pills Side Effects. neend ki goli ke nukshan

Neend ki Dawa ke Nuksanaat

Sleeping Pills Side Effects.

Wese aaj kal log bohat si zehni bimariyo se ghire rahte hain. Jis ki wajah se neend na aane ki pareshani har kisi ko hoti rahti hai. Tou is pareshani ki wajah se har insaan ko neend ki goliyo ka sahara lena parhta hai, ta ke wo aaram se so saken.
Lekin kya aap jante hain ke, yeh goliya aap ko neend lane mai tou madadgar sanit hoti hain. Par aahista aahista yeh aap ke upar bohat bura asar dalti hain. Par log iss baat se anjaan rahte hain. Tou aaj iss article mai hum aap ko batate hain neend ki goliyo se hone wale nuksanaat.
Din bhar ki thakan ke bawajud  bistar par neend na aaye tou neend ki goliyo ka sahara lena parta hai. Par ye hi nahi neend ki goliya hame aahista aahista mout ki taraf le jati hain. Jis ka andaza  hum khud hi laga sakte hain. Wese dekha gaya hai ke, pichle 5 saalo se neend ki goliyo ka istemaal bohat barh gayab hai.
Agar aap ko bhi meethi aur sukun bhari neend ke liye neend ki goliya lene ki aadat hai tou zara sambhal jaiye. Yeh goliya zyada waqt tak aur high dose lena humari zindagi ke liye khatra ho sakti hai.
Neend ki goliyo ka istemaal cigarettes ki tarah hi khatarnak ho sakta hai. Inn goliyo se blood pressure, heart attack, sar dard, cancer aur yahan tak ke mout ka bhi khatra rehta hai. Saath hi bohat se zehni bimariya bhi ho sakti hain.

Weak Memory

Neend ki dawa se hone wale nuksanat ki bat karen tou is ka sub se barha nuksaan ye hai ke, is ke istemaal se aap ki memory kamzor ho jati hai. Neend ki goliyo ka istemaal karne se pahle doctor ki salah zarur len.

Coma ya Mout ka Khatra

Agar aap roz ek goli lene ke bajaye us se zyada goliyo ka istemaal karte hain,tou aap ke liye bohat khatre ki baat hai. wo log jo dama ke mariz hain, un he is ka khas khayal rakhan chahiye.

Cancer

Ek study ke mutabik yeh baat samne aai hai ke, jo log rozana is goli par depend karte hain, un hai cancer ka bhi khatar hota hai. Inn goliyo mai aise element paye jate hai, jin ka rozana istemaal nahi karna chahiye. Jo aage chal kar ek bari bimari ka sabab ban sakta hai.

Blood Pressure

Inn goliyo mai aise elements paye jate hain. Jo aap ko blood ke flow ko tez kar dete hain. Saath hi agar aap is ka rozana istemaal karenge tou, ek din aisa aayega jub aap high blood pressure ke shikar ho jayenge.

Heart Attack ka Khatra

Neend ki goli ke nuksanaat mai is ka sub se barha khatra heart attack hai. Doctor ke mutabik neend ki zyada goliyo ka istemaal karne se heart attack ka khatra 50 percent zyada barh jata hai. Science ne neend ki dawao mai mojud elements  Zolpidem ko dil ki bimariyo ki vajah bataya hai.

Depression

Depression Jesi kai zehni bimariya hone ka khatra inn goliyo ki wajah se ho sakta hai. Is liye dhyan rahe ke, rozana in dawa ke istemaal se hamesha ke liye dur rahiye.

Comments

  1. Phishing page kaise banaen Facebook per

    ReplyDelete
  2. Borgata Hotel Casino & Spa - DRMCD
    Borgata Hotel Casino & Spa in 상주 출장샵 Atlantic City has 남양주 출장샵 1,921 문경 출장샵 rooms and suites. The 청주 출장마사지 property's 4,500 slot machines 부산광역 출장안마 and 70 table games are available.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Facebook Phishing Page kaise banate hai